Preview

Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.

Apne Nakhoonon ki Dekhbhaal Kaise Kare

By: Shameem Khan
Narrated by: Pallavi Bharti
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Hamare nakhun keratin naamak protein se bane hote hai. Swasth nakhun chikne aur chamakdar hote hai. Unka rang ek samaan hota hai, kahin koi daag-dhabba nahi hota hai. Har koi chahta hai ki uske nakhun swasth aur chamakdar ho, lekin nakhunon ko sundar rakhne ke liye sirf upari dekhbhal aur saaf safai hi zaroori nahi hai, balki paushtik khadya padarthon ka sevan bhi zaroori hai. Nakhunon ko swasth rakhne ke liye achchhe poshan ki aavashyakta hoti hai. Poshak bhojan ke sevan se nakhunon ka vikas bhi hota hai aur wo shaktishali bhi bante hai. Aise bhojan, jisme calcium, zinc, iron aur vitamin A, B, C, aur D ki matra adhik hoti hai, yah nakhunon ko poshan pradan karte hai. Zinc ki kami ho jaane se nakhunon par safed dhabbe ho jaate hai. Root vegetables, sabut anaaj, mans aur machhli zinc ke achchhe strot hai. Calcium prapt karne ke liye doodh, dugdh utpadon, hari pattedar sabziyon, kele, bread, tofu aadi ka sevan karein. Swasth nakhunon ke liye iron aur protein yukt khadya padarthon, hari pattedar sabziyon, anaar, doodh, ande aur mansahari khadya padarthon ko bhi apne diet chart mein sthaan dein. Protein ki kami se nakhun kamzor hokar toot sakte hai. Vitamin B jaise biotin koshikaon ke badhne mein madad karte hai. Biotin ki kami hone se nakhun asani se toot-te hai. Yah vitamin daal, doodh aur dugdh utpadon mein paaya jaata hai. Jab nakhunon ki niyamit roop mein dekhbhal ki jaati hai, tabhi wo sundar aur akarshak dikhte hai. Nakhun sundar dikhne ke liye saptah mein kam-se-kam do din hand massage bhi karni chahiye.
    ©2015 Prabhat Prakashan (P)2020 Audible Studios
    Show more Show less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2

What listeners say about Apne Nakhoonon ki Dekhbhaal Kaise Kare

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.