• किसना : जिस्म बेचकर बना दी बेटी की जिंदगी
    Jul 21 2022
    Jharkhand ke ek adivasi ilaake mein ek naye collector ne ek list banwaayi jismein unn logon ka naam tha jinhone adivasi ladkiyon ko rakha hua tha. Unn sabko majboor kar ke afsar ne unki adivasi ladkiyon ke saath shaadi karwa di. Lekin kuchh saal baad jab collector ka tabadla ho gaya toh sabne apni adivasi patniyon ko chhodna shuru kar diya. Iss tarah se ek awara auraton ka mohalla ban gaya. Ab unn auraton ka kya bhavishya tha, vah samaaj mein kaise rahengi?
    Show more Show less
    16 mins
  • कायाकल्प...
    Jul 21 2022
    Sumitra apne pati Rajendra ka intezaar kar rahi thi. Use pata chala tha ki koi durghatna huyi hai aur use darr tha ki uske pati ko kuchh na ho gaya ho. Vah apni beti se lipat kar rone lagi. Tabhi uska pati aa gaya aur usne bataaya ki bade bete Sanjeev ki durghatna mein maut ho gayi thi. Poora parivaar uski yaadon mein kho gaya. Kuchh din pehle hi Sanjeev apni patni aur bachchi ke saath ek kiraaye ke makaan mein rehne gaya tha.
    Show more Show less
    15 mins
  • जलन

    जलन

    Saras Salil
    Jul 21 2022
    Gaon mein jab koi aurat vidhwa ho jaati thi toh aisa maana jaata tha jaise uski zindagi hi khatm ho gayi ho. Rama ki umr 40 saal thi aur vah vidhwa ho gayi thi. Use bahu Sushma se kaafi jalan hoti kyunki use ek suhagan ke sab sukh prapt the. Sarpanch ke bete ko Rama pasand aa gayi thi aur ek din usne Rama ko pakad liya. Ab Rama khud ko bacha sakegi? Ya uske mann mein koi doosri yojna ban rahi hai?
    Show more Show less
    6 mins
  • मोहिनी
    Jul 21 2022
    Mohini ki shaadi Manohar ke saath huyi thi. Vah ek chulbuli ladki thi aur vah kisi kaam mein hichkichati nahin thi. Uska naam gaon ke kayi ladkon ke saath bhi joda jaa chuka tha lekin use koi farak nahin padta tha. Ab Saloni ki umr bhi shaadi ki ho gayi thi. Kya yahi mauka tha ki Mohini ab apne sasuraal se door alag reh sake? Aakhir uske mann mein kya yojna ban rahi thi aur vah Saloni ko kya sabak sikhaana chaahti thi?
    Show more Show less
    10 mins
  • डुप्लीकेट: आखिर मनोहर क्यों दुखी था
    Jul 21 2022
    Manohar jab jawan tha toh hero banne ke sapne dekhta tha. Vah filmon mein kaam karna chaahta tha. Use hero ka role toh nahin mila lekin vah duplicate ka kaam karne laga. Uski mulaqat ek din Neelu se huyi. Vah bhi heroine banne ka sapna liye Mumbai aayi thi lekin uske mama ne uska shoshan kiya. Ab vah bhi filmon mein chhota kaam karti thi. Dono ke beech dosti gehri hone lagi. Kya vah dono saath mil kar koi naye sapne dekh sakenge
    Show more Show less
    17 mins
  • बदला : सुगंधा ने कैसे लिया रमेश से बदला
    Jul 21 2022
    Ramesh aur Sugandha ek hi daftar mein kaam karte the. Vah kareeb aa gaye aur dono ke beech sambandh ban gaye. Ek din jab vah ek saath the toh teen vyakti achanak wahan aaye aur Sugandha ka balatkaar kiya. Ramesh ne Sugandha ko vah hadsa bhoolne ko haha. Kuchh din baad Sugandha ne usse shaadi ke liye kaha. Usne yeh bhi bataya ki vah ma banne wali hai. Ramesh ab kya faisla lega? Kya vah Sugandha ke bachche ko apnayega ya phir yeh Sugandha ki koi chaal thi?
    Show more Show less
    10 mins
  • दो चुटकी सिंदूर : सविता की क्या थी गलती
    Jul 21 2022
    Savita aur Amit ka prem sambandh chal raha tha. Baiju naam ka ek ladka bhi Savita se pyar karta tha lekin uske paas koi naukri nahin thi. Savita ko Amit se prem tha aur dono ke beech shareerik sambandh ban gaye. Kuchh din baad Savita ne Amit ko bataya ki vah ma banne wali hai. Amit ne usse shaadi karne se inkaar kar diya. Usne kaha ki vah bachcha uska nahin tha aur vah ek shareef ghar se tha. Amit mein yeh badlaav dekh kar Savita ko bohot dukh hua. Ab vah kya karegi?
    Show more Show less
    17 mins
  • दुनियादारी
    Jul 21 2022
    Sudha school mein teacher thi. Doosre sheher mein uske sasur ek hospital mein bharti ho gaye. Unki haalat kaafi kharaab thi. Uski nanad ne use hospital aane ke liye kaha. Sudha ke liye ghar, school aur bachchon ko chhod kar aana mushkil tha lekin use nanad ki baat maanni padi. Kuchh dinon baad hi uske sasur ki mrityu ho gayi. Sudha ke jeevan par iska ab kya asar padega? Kya use apne sasuraal ka kaam bhi sambhalna padega?
    Show more Show less
    12 mins