Episodes

  • मुट्ठी भर प्यार : बूआजी का प्यार आखिर किस वजह से था
    Oct 6 2022
    Hum dono behno ko bua aur dadi ka bharpoor pyaar bachpan se mila. Magar ek din kisi baat par dadi aur papa ki ladai ho gayi. Papa upar ke floor par shift hog aye aur dadi ke saath hamara connection kaat diya gaya. Bhale hi papa aur mummy humein mana karte ki dadi ke ghar kabhi na jaana aur koi cheez mat lena magar hum dono mauka milte hi unke paas pohoch jaati. Samay ke saath hum bade hote gaye aur chah kar bhi bua ya dadi se bahut zyada nahi mil paate the. Fir bhi hum dono behne dadi se milne jab bhi jaate the toh dadi hamari muthi mein kuch na kuch sone jevar jaise tops, chain, wagera ya rupey rakh deti thi. Unki muthi mein hamesha hamare liye pyaar hota tha. Ek don achanak bua ka phone aaya ki dadi maa nahi rahi toh hum dono behne shock mein aa gayi. Maine tay kiya ki main abhi unke sanskar mein shaamil hone jaungi par meri behen turant Bangalore se nahi aa paa rahi thi isliye tervi mein pohchegi. Main waha pohchi toh waha mummy papa nahi the, ye dekhkar mujhe bohot afsos hua aur main ghar gayi un dono ko lene. Magar wo taiyar nahi ho rahe the tab maine unhe kade shabdon mein samjhaya aur kaha ki agar wo unki antim yatra mein shaamil nahi hue toh main apne Dadaji ko saath le jaungi aur kabhi aapse nahi milungi. Fir wo dono na chahte hue bhi saath chale.
    Show more Show less
    21 mins
  • जैसा बोएंगे, वैसा ही काटेंगे
    Oct 6 2022
    Lekhika bohot samay saalon baad apne pati aur bahu ko leke apne mayke Ludhiana gayi. Waha wo apni purani padosy Kulwant se milne gayi, lekhika ne suna tha ki ek accident mein uske chote bete ki maut ho gayi thi aur bada beta London mein settle ho gaya tha. Ab wo chote bete ki jawan bahu ke saath rehti hai. Jab wo uske ghar pohchi toh bahu ne darwaza khola aur lekhika ko andar le gayi, Kulwant charpai par padi thi use diabetes, blood pressure, arthritis jaise kai beemariyan thi, Kulwant andar se dukhi thi aur usne lekhika ko bataya ki uske paas koi baat karne wala nahi hai. Lekhika ne jaa kar uski bahu ko samjhaya ki uski saas akeli hai aur use unse baat karni chahiye toh bahu ne bataya ki uski saas ne kabhi bhi use apna nahi mana, na hi use baat karne mein ruchi dikhai. Jab tak uska pati zinda tha wo usse apni bahu ki shikayat kiya karti thi, aur ab jab wo akeli hain toh wo kyu unse baat kare. Ye baat sunkar lekhika khamosh ho gayi aur samajh gayi ki insaan jaisa bota hai waisa hi kaat ta hai.
    Show more Show less
    9 mins
  • विदाई: भाग
    Oct 6 2022
    Neeraj aur Kavita ki shaadi ko sirf 6 mahine hue the ki Kavita breast cancer ki shikaar ho gayi. Kavita ka antim samay khushnuma banana ke liye Neeraj use lekar apne ek dost ke khaali flat mein rehne chala gaya. Wo uska manpasand khana banata, use chutkule sunata aur use khush rakhne ki koshish karta taaki wo apna dard bhool jaye. Lekin Kavita ki tabyat bigadti gayi aur wo apni akkhri saasein le rahi thi. Neeraj ne mehsoos kiya ki uske dilodimag mein koi bojh nahi tha kyunki wo use vida karne se pehle uske liye jo bhi kar sakta tha usne kiya.
    Show more Show less
    21 mins
  • एक रात की उजास : क्या उस रात बदल गई उन की जिंदगी
    Oct 6 2022
    Malti 82 saal ki thi aur akeli zindagi kaat rahi thi. Uske pote ne ek angez aurat se shaadi ki thi isliye wo aur uske bete bahu use naraz the. Fir jab pote ko beti hui toh uske bete aur bahu ne England jaane ka faisla kiya, jab wo bazar mein kharidari karne gaye toh wapas unki laash hi aayi. Pote ne saath chalne ko kaha magar Malti ne mana kar diya magar aaj use afsos tha. Ek din park se nikalte hue uske man mein ye baat aayi ki kyo na ghar mein rakhi neend ki goliyaan khaa kar wois udaas zindagi se door ho jaye. Usne raaste mein rail ki patriyon ke paas ek ladke ko baithe dekha jo train ke kareeb aane par bhi nahi uth raha tha tab Malti ne ekdum tezi se uska haath pakad ke patri se door kiya aur use daanta. Ladke ne bataya ki uske 12vi kaksha mein kam number aaye hain isliye use ghar pe bohot daant padi. Tab Malti use kehti hai ki train se katne mein bohot takleef hoti hai hum dono hi neend ki goliyan khaa ke mar jaate hain aur ladke ko apne saath ghar lejakar swadisht khana khilati hai aur wo chen se so jataa hai. Jab wo so jata hai toh Malti sochne lagti hai ki ye ladka aatmhatya kar lega toh iske gharwaalon ka kya hoga. Apni aatmhatya ka vichar bhi ek din ke liye taalte hue usne agli subah ladke ke gharwaalon ko bula liya. Wo log daude aaye aur Malti ka dhanywaad karte hue use gala lag aliya tab Malti ne unhe samjhaya ki unke bache ki jis cheez mein ruchi ho usmein aage badhne do. Shaam ko ladke ki maa unse milne aayi aur kaha ki unka dhanywaad kehne ke liye wo log ek party kar rahe hain jisme Malti unke bete ko god mein baitha kar cake katwaegi kyonki unki wajah se use naya janam mila hai. Malti bohot khush hui aur usne apne man se apni aatmhatya ka vichar bhi hamesha ki liye taal diya tha.
    Show more Show less
    20 mins
  • एक डाली के तीन फूल
    Oct 6 2022
    Nalini jab college mein daakhila leti hai toh waha uski mulakat apni hamshakal Jyoti se hoti hai. Jab Jyoti ke pita Dr Prashant ko ye baat pata chalti hai toh wo Nalini aur uske gharwaalon se milte hain. Wo un dono ka parikshan karate hain jisme ye sabit ho jata hai ki wo dono judwa behne hain. Ye pata lagane ke liye ki bacho ki adla badly kisne aur kiske saath ki wo Kanpur ke us aspatal pohochte hain jaha unki beti ka janam hua tha. Unhe pata chalta hai ki unki patni jo bache ke janam ke saath chal basi thi unhone ek bete ko janam diya tha. Unke bete ko kisi ne apni judwa betiyo mein se ek beti se badal diya tha. Is wajah se aaj Jyoti unki beti bankar badi hui thi jabki unka apna beta kisi aur ke ghar mein tha. Wo Nalini ke ghar jaa kar uske bhai yani unke bete Deepak se milte hain jo bilkul unke jaisa dikhta hai. Wo Deepak ki maa ke aage kuch aisa kehte hain jisse wo sab kuch samajh jaati hain. Wo dar jaati hain aur agle din Dr Prashant ke ghar jaa kar apni galti svikarte hue maafi mangti hai aur kehti hai ki apne pati se darne ki wajah se nurse ko paise dekar bete ko churaya gaya tha. Dr Prashant usko maaf kar dete hain aur kehte hain ki wo apni beti Jyoti se bohot pyaar karte hain aur use khud se door nahi kar sakte hain.
    Show more Show less
    28 mins
  • आज मैं रिटायर हो रही हूं
    Oct 6 2022
    Beena chachi har waqt ghar ke kaamon mein lagi rehti thi. 60-65 varsh umar ho gayi unke Vijay bhaiya unhein pakad kar uthate, kehte chalo chodo Bhabhi aur Nisha kar lengi. Nisha ki baah mein dard ho gaya tha. Josh josh mein chachi Nisha par kaam laad deti hai. Chachi ne sauth ka kadha banakar Nisha ko pilaya, Preeti ko saas bahu ki manuhar pyaari lag rahi thi. Preeti ki 2 nandein byahi hui hain, aur pati ke jaane ke baad wo ghar mein akeli ghut ti rehti thi. Magar chachi ne baahein fela kar use chati se lagaya toh veh snehil sparsh aaj tak nahi bhool pai. Us din ke baad use aisa pyaar mila ki wo mayka hi bhool gayi. Lagbhag 8 saal hog aye Nisha ki shaadi ko aur 10 saal ho gaye use is ghar mein aaye bahut achi nibh rahi hai dono mein. Usne chachi ko samjhaya ki veh ghar ke kaamkaaj se haath kheenchna shuru kar de. Ab aap chintamukt hokar jeena shuru kar dein. Chachi chup chap sunti rahi. Use dar lag raha tha ki kahi Nisha ye na samajh le ki veh saas bahu mein darar paida kar rahi hai. Agle din subah uthi toj dekha saamne chachi ki rasoi mein andhera tha. Kahi chachi bhar toh nahi. Ve toh 6 baje naha dhokar sabziyaan bhi chada chuki hoti hai, bhitar jaa kar dekha toh chachi razai mein baithi aaram se akhbar padh rahi thi, boli aaj se main retire ho rahi hu. Chacha unhein dekh kar hairan the.
    Show more Show less
    17 mins
  • मन की खुशी (भाग)
    Oct 6 2022
    Manikant ko ab tak patni prem ke atoot bandhan par bohot vishwas tha parantu ab unka vishwas dagmagane laga. Pehle patni Swati unhe prem karti thi maagar ab uske karkash aur kroor vyehvar se veh use door hote jaa rahe the. Wo baccho ki galat aadton ka paksh leti thi. Manikant aajkal office mein der raat tak baithne lage the, unke ek sehkarmi dost ne wajah ouchi toh Manikant ne apni samsya sajha ki. Sehkarmi mitr ne Manikant ko samjhaya ki khushiyaan keval bhautik cheezon se hi nahi milti, khushiyaan apni ruchi aur shauk ke mutabik karya karke paa sakte hain. Apne mitr ki baat sunkar Manikant ne kagaz kalam aur pencil haathon mein pakad li. Unhein laga ki jivan itna kashtmey aur dukhdeyi nahi hai jitna ve samajhne lage the.
    Show more Show less
    29 mins
  • मेरी सास : जब मेरा अपनी सास से पाला पड़ा
    Oct 6 2022
    Lekhika man hi man saas ko lekar aatankit thi. Upanyaso aur gali-mohalle ki charchaon ko sun sun kar usne saas ke vishey mein apni ek raye kaayam kar li thi ki saas koi achi aurat nahi hoti hai. Veh bahu ko pratadit karne waali, bahu ke kaam mein galtiyaan nikaalne waali aur taane ulahne dene waali aurat hoti hai. Lekhika ki badi behen ki shaadi hui toh sasural mein saas nahi sirf sasurji hi the. Shaadi ke baad ve aksar saas ke na hone ka dukhda gaati thi. Saas ke laadpyaar ko tarasti dikhti thi. Doosri behen ki shaadi hui toh ve apni saas ki tareef karte nahi thakti thi. In sab baton ne lekhika ke man mein bina saad ki chavi ko thoda theek toh kiya magar dar abhi bhi bana hua tha. Jab uske bhai ki shaadi hui aur uski maa saas bani toh veh bhi apni bahu se bohot prem karne waali nikli. Aur ant mein jab lekhika ki shaadi hui toh uski bhi saas bohot sneh karni wali rahi. Isne lekhika ke dil mein barso se bani us chavi ko tod diya jo usne TV serial dekh dekh kar ya upanyas padh padh kar saas ke prati apne dil mein gadh li thi.
    Show more Show less
    10 mins