• जहर का पौधा: भाभी का मन इतना कठोर था कि
    Jun 9 2022
    Jab se shaadi ke baad bhabhi apne sasuraal aayi thi, parivaar mein bohot saari pareshaaniyan shuru ho gayi thi. Shaadi ke samay bhabhi ke pita aur sasur ke beech koi jhagda ho gaya tha. Vah apmaanit mehsoos kar rahi thi. Unhone soch liya tha ki vah apna badla lengi aur sasuraal mein ghar ka batwaara bhi karwa diya tha. Ab vah saara ilzaam Manish par laga rahi thi. Kis tarah se Manish iss takleef se apne parivaar ko bacha sakega?
    Show more Show less
    19 mins
  • आईना

    आईना

    Saras Salil
    Jun 9 2022
    Tarun ke mata-pita ne uski shaadi Sumi se ki thi jo ki kaafi padhi-likhi aur sundar ladki thi. Lekin shaadi ke baad uska vyavahar badalne laga. Vah sabse jhagda karne lagi thi. Mata-pita kaafi dukhi ho gaye. Kuchh dinon baad pata chala ki Sumi ko gall bladder mein tumour tha aur uski mrityu ho gayi. Iska prabhaav parivaar ke sabhi sadasyon par pad raha tha aur unki zindagi hamesha ke liye badal gayi thi.
    Show more Show less
    23 mins
  • सतरंगी रंग
    Jun 9 2022
    Payal ki dadi ke khayal pichhle zamaane ke the. Payal parehsaan ho gayi aur 12veen ki padhai ke liye hostel chali gayi. Tabhi ek din ghar par phone aaya ki uski ma ki tabyat kharaab ho gayi hai. Vah train pakad kar ghar pohonchi aur ghar ke darwaaze par bheed dekh kar vah ghabra gayi. Ma ki mrityu ho chuki thi. Kuchh hi din baad Payal ke pita ki doosri shaadi ho gayi. Ab Payal ki zindagi poori tarah se badalne lagi.
    Show more Show less
    23 mins
  • क्या फर्क पड़ता है
    Jun 9 2022
    Ajay aur Som dost the aur ek doosre ko kaafi samay se jaante the. Ajay ki ma nahin thi aur uski chachi ne hi use paala tha. Som ki ma bhi Ajay ko apna beta hi maanti thi. Kabhi-kabhi ma ka Ajay ke prati pyar Som ko achcha nahin lagta tha. Ek baar jab ma ki tabyat bohot kharaab ho gayi toh Ajay ne unhe apna khoon de kar unki jaan bachaayi. Par phir aisa kya hua ki unke rishte mein ek daraar aa gayi?
    Show more Show less
    24 mins
  • गांठें
    Jun 9 2022
    Bhai ki shaadi ke baad jab Sarla mayike pohonchi toh dekha ki bhabhi kaafi udaas lag rahi thi. Use pata chala ki unke saare tohfe ma ne apne paas rakh liye the. Ghar ki saari ladkiyan jaanna chaahti thi ki kisne kise kaunsa uphaar diya hai. Iss beech bhabhi ki taraf toh koi dhyan hi nahin de raha tha aur vah dukhi ho gayi thi. Sarla ne sabhi ka kamra bhabhi ke kamre ki tarah bana diya aur kaha ki jaisa vyavahar bhabhi ke saath ho raha hai vaisa hi sabke saath hoga. Ma ko apni galti ka ehsaas hua.
    Show more Show less
    15 mins
  • तेरहवीं- विभा ने तस्वीर उठाकर अटैची में क्यों रख दी थी?
    Jun 9 2022
    Kumar aur uski patni ke do bete the. Bada beta unse alag rehta tha aur usne unse rishta hi tod liya tha. Chhota beta apne kaam mein vyast rehta tha. Patni unki dukaan ko apna teesra beta maanti thi. Ek din unke chhote bete ka accident ho gaya aur mrityu ho gayi. Ab unki takleef samajhne ke liye aur unka khayal rakhne ke liye koi nahin tha. Unhe apne bete ki tehravi kiye bina hi dukaan kholni padi.
    Show more Show less
    18 mins
  • पिता की पगड़ी
    Jun 9 2022
    Jab bhi Anuj ke chacha ghar par aate the toh uske mata-pita hamesha use unka sammaan karne ko kehte the. Chacha ka unn par bohot ehsaan tha aur sabka yahi kehna tha ki vah ek bohot achche charitra ke insaan hain. Lekin Anuj ko bazar jaa kar unki asliyat ke baare mein pata chala. Jo jaisa dikhta hai, zaroori nahin ki vaisa hota hai. Anuj apne dada ki pagdi ki laaj rakhna chaahta tha aur yeh baat use apne mata-pita ko samjhaani hogi.
    Show more Show less
    14 mins
  • मेरे अपने: कितना सार्थक जीवन जी रही थी विवेक की मां
    Jun 9 2022
    Vivek Mumbai mein apne parivaar ke saath rehta tha aur uski ma Kanpur mein akele rehti thi. Vivek ko hamesha yeh chinta rehti thi ki ma apna khayal kaise rakhegi. Vah chaahta tha ki ma uske saath Mumbai mein rahe lekin ma ne manaa kar diya. Vah apne tareeke se zindagi jeena chaahti thi. Vivek ne jab dekha ki ma ne apne liye kitni achchi vyavastha ki hai toh use laga ki use bhi ma se kuchh seekhna chahiye.
    Show more Show less
    17 mins