KILLERS OF INDIA Podcast By Hoop Entertainment, V Tripathi, Roma Dutia cover art

KILLERS OF INDIA

Preview
Try for $0.00
Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.

KILLERS OF INDIA

By: Hoop Entertainment, V Tripathi, Roma Dutia
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

About this listen

Hoop Entertainment prastut karte hain KILLERS OF INDIA, ek Audible Exclusive peshkash

SHOW SUMMARY

KILLERS OF INDIA naamak iss Crime show ka maksad, bas manoranjan nahin, balki aapko desh mein huye jaghanya apradhon se awgat karaana hai… taki aap apraadhik gatividhiyon se satark rah saken… iss show ke madhyam se hum aapko sachchi ghatnaon pe aadharit 20 aise apradhon ki kahaani bataa rahe hain, jinhen sunkar aapke rongte khade ho jaayenge… ye koi aam crime aur criminal ke kisse nahi, balki samaaj ke un khatarnaak logon ki kahaniyan hain, jo mansik roop se haivaan ban chuke the… aur jinhone anginat masoom logon ko apni darindgi ka shikaar banaya… In vibhats apradhon ko samaaj kabhi nahi bhoolega… Toh aaiye, jaante hain unlogon ke baare mein, jinhone maanavta ko dooshit kiya

DISCLAIMER

Ye ek kaalpnik kriti hai. Aur iske vaastvik vyaktiyon, vyavasayon, sthano, ya ghatnaon ke sath koi bhi samaanta akasmik hai. Is show me pradarshit tathyon ko kisi bhi dharmik granth, dharm, lokkatha, kahani, ya katha ka satwik ya sachcha niroopan Nahi samjha jana chahiye. Show me pradarshit dharmik granth, dharm ya kahani ke liye vyakt kiye gaye vichar aur prastutikaran lekhak ke hain, aur Audible ke nahi. Ye show kisi vyakti sanstha, jati, samuday, nasl ya dharm ko apmanit ya badnaam karna ya kisi sanstha ya vyakti jeevit ya mrit ko neecha dikhane ke irade se nahi hai.

Aur ya kisi bhi vyakti sanstha, varg ya samuday ke kisi dharmik dhaarnao, maanytaon ya bhawnaon ko apmanit ya apmaan karne ka irada nahi rakhta hai. Shrota ko vivek se Faisla lene ki Salah di jati hai.

Production House

Hoop Entertainment

Producer

Nikhil Mirchandani

Writer

V Tripathi

Creative & Script Consultant

Roma Dutia

Director

Vivek Rao

Executive Producer

Aishwarya Shukla

Director Assistant

Laxmikant Mishra

Post Production Head

Rajnish Rao

Music

Sumit Jadhav

Sound Design

Amit Trivedi

Final Mix

Jayendra Tomar

Dubbing Studio

Yuvi Creations

Cast

Komal Vishwakarma

Rishi Dadhichi

Trupti Tagde

Swaraj Manchanda

Dimple Soni

Zara Warsi

Krishnaraj Shetty

Tushar Tawde

Shankar Iyer

Libert Olivera

Anushi Sharma

©2022 Hoop Entertainment PVT LTD (P)2022 Hoop Entertainment PVT LTD
Murder True Crime
Episodes
  • Episode 1: NITHARI KAAND
    Nov 29 2022
    Bachche hamare samaj ka bhavishy hain, lekin is apradh ne ye sabit kar diya ki kuchh log kaise samaj ke bhavishy ko nigal jaate hain… Noida ka Nithari kaand, poore Desh ko dahla dene wala ek crime tha. Jahaan ek vaishi darinde ne chhote bachchon ko apna shikaar banaya. Woh bachchon ko lalach dekar apne bangle mein bulata aur phir unhne maarkar unka maans kha jata
    Show more Show less
    21 mins
  • Episode 2: CYANIDE MOHAN
    Nov 29 2022
    Hamare samaj ka ek bahut badaa hissa ladkiyon ko bojh manta aya hai. Aur is soch ka fayda ek apradhi ne bakhoobi uthaya, woh aisi ladkiyon ko apna target banaane lagaa, jinhen ghar se sammaan aur prem nahi milta, ya jinki shadi nahi ho rahi hoti. Yeh apradhi unhe apne pyar mein fansata phir unke sath bhagkar shadi kar leta, aur shadi ke agle din hi unhein cyanide zahar dekar maar diya karta.
    Show more Show less
    17 mins
  • Episode 3: THUG BEHRAAM
    Nov 29 2022
    Behram thug, 18 sau Shatabdi ka ek aisa criminal tha, jiska naam Guinness world record mein shaamil hai, kyonki uske sar pe 10-20 nahin balki 913 katl ka ilzaam hai… Behram thug aur uski gang ne british sarkar ki naak mein dam karke rakhaa tha… uski gang ek khaas tareeke se logon ka katl karke unhne loot liya karte
    Show more Show less
    18 mins
adbl_web_global_use_to_activate_T1_webcro805_stickypopup
No reviews yet