• Aaj Tum Itna Wada Karte Jaana
    Dec 13 2021

    Hum logon se waade kyun maangte hain? Kyun baaton ko, haalaton ko, aisi gajah le jaate hain jahan se aage ka raasta hum akele chalne se darr te hain? Ye do lafz - wada karo… kya ye ek zarurat hai, ek kami hai? Kaisa darr hai ye, jo ek connection ke honhe ke baad bhi ek insurance policy maangta hai? Kyunki agar pyaar hai, toh darr nahi hona chahiye, hai na?

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    17 mins
  • Chura Liya Hai Tumne Jo Dil Ko
    Dec 6 2021

    Humare gaano mein ye dil lene, dene, khone, churane... ki baatein kyun hoti hain? Ye Dil itna aasaani se kyun behak jaata hai? Baaton mein aa jaata hai? Kya sab dil aise hote hain? Hum sab ne kab faisla kiya is dil ko aisa banane ka? Ye dil kamzor bhi hai, bechara bhi hai, baccha bhi hai… lekin humari zindagi par iska control bada hai… hai na? Ye dil agar itni aasani ye behak jaata hai… toh uspar bharosa kaise kar sakte hain?

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    14 mins
  • Maanga Hai Tumhe Duniya Ke Liye
    Nov 30 2021

    Kitna farak hai humari soch mein? Kinta farak hai humare zazbaaton mein? Tum ek ladki ho aur main ek ladka hoon… is farak se kitne farak paida hote hain? Shayad sirf ye pyaar aur poetry hain, jin dono mein gender ka koi lena dena nahi hai. Dono ehsaas se bante hain. Aur ehsaas ko sab ehsaas hi bulate hain…

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    13 mins
  • Tum Agar Saath Dene Ka Vada Karo
    Nov 22 2021

    Kya har pyaar ko poora hona hota hai? Kya har pyaar ko ‘hamesha’ vaala hona hota hai? Kya har pyaar ka moolya, uska wajood… uske anjam se tay hota hai? Agar ek love story khatam ho jaati hai, toh kya woh sachha pyaar tha? Kya woh kisi bhi tarah ka pyaar tha? Kya lagta hai tumhe?

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    14 mins
  • Na Tum Humein Jaano
    Nov 15 2021

    "Kisi se pehli mulakaat mein pyaar agar ho jaye… toh pehle kya karna chahiye? Mere hisaab se ye teen step ka process hai. Pehle toh pata karna chahiye ki woh kaisa mehsoos karti hai. Kyunki agar woh aisa nahi soch rahi toh aage ke do step kisi kaam ke nahi hai. Phir unse dobara milna chahiye, unhe jaanah chahiye. Taaki pata chal sake ki ye pyaar sirf kuch palon ka hai, ya tumhare aane vaale har pal par unka haq hai. Aur phir aata hai step 3..."

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    14 mins
  • Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho
    Nov 8 2021

    Kya khushi aur darr ko ek saath mehsoos karna mumkin hai? Hasta hua insaan kayin gham chupa sakta hai apni hassi ke peeche. Aur ek insaan ek pal mein muskurate huye jitni bhi khushi mehsoos karle... kya woh khushi uske darr ko mita sakti hai? Kyunki kuch darr alag hotey hain. Kuch darr aane vaale kal se nahi, aane vaale pal se hotey hain...

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    14 mins
  • Tumne Mujhe Dekha Hokar Meherbaan
    Nov 1 2021

    “Kisi ko pehli mulakaat, pehli baat mein pasand karna aasan hai. Aur woh pyaar jo sirf kuch ki palon ke liye paida hota hai, woh bhi karna bahot aasan hai. Pyaar toh kayin kisam ke hote hain na? Har koi apni zindagi mein pyaar dhoondhta hai. Aur har kisi ko lagta hai ki unka pyaar anokha hai. Toh ye pyaar… kayin baar hota hai, kayin alag kisam hota hai, aur har baar anokha hota hai… kaise?”

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    12 mins
  • Yunhi Tum Mujhse Baat Karti Ho
    Oct 25 2021

    Naina ne mere liye ek nazm likhi thi. Mere liye ye sab bahot naya hai. Bas iski aadat nahi banani hai. Main nahi chahta ki ye ehsaas kabhi kum ho. Kyunki jab mujhe woh apni nazm suna rahi thi, us pal mein mujhe aisa lag raha tha ki is poore jahaan mein sirf hum dono hain. Ki uski aankhen sirf mujhe dekh rahi hai. Ki uske hothon se nikla har lafz mere liye bana hai. Ki uske har pal par mera naam hai.

    See omnystudio.com/listener for privacy information.

    Show more Show less
    12 mins