Preview

Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.

Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 17

By: Delhi Press
Narrated by: Priyadarshini Sharma
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Audible prastut karta hai Romance and Relationship Stories by Delhi Press kahaniyon ka sankalan. Prem ke kayi rang aapko milenge inn kahaniyon mein — junoon, vaasna, sneh, lagaav, jalan aur chaahat. Jawani ke josh mein dhadakta naya pyar premiyon ko kis hadd tak le jaa sakta hai? Kayi saal se saath rehte huye ek doosre ke liye aakarshan mehsoos karna mumkin hai? Kisi teesre insaan ke aane se pyar ki dor kya kamzor padne lagti hai? Sachche pyar aur ek pal ki vaasna mein antar kaise samajh sakte hain? Sadharan logon ki asadharan prem kahaniyon ke saath kabhi aapka dil bhi pehle pyar ke ehsaas se dhadakne lagega, aur kabhi toote huye dil ke baare mein soch kar koi hasrat yaad aayegi. Chaahat, samaajik bandhan aur prem ki vibhinn paribhashaon ki iss duniya mein aapko kabhi jaani-pehchaani yaadein dikhengi aur kabhi kisi bhooli prem kahani ki kasak mil jayegi.
    ©2021 Delhi Press Patra Prakashan (P)2021 Delhi Press Patra Prakashan
    Show more Show less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • खुद की तलाश
    Oct 6 2022
    Vibha aur Mansi me se Mansi badi thi aur shaadi jaldi nahi karna chahti thi jabki Vibha ne BA ke baad padhai chod di. Isliye jab unke pita ke dost ke bete Vibhor ka rishta Mansi ke liye aaya aur usne shaadi se inkaar kar diya, toh Vibha ki shaadi usse kar di gayi. Shuru mein Vibha bohot khush rehti thi aur Mansi ko thoda bura lagta aur vo irsha bhi karne lagi kyuki usko ab tak uske mann chaha nahi mila tha, jabki uski behen ko mil gaya tha. Vo sahitya mein ruchi rakhti thi aur lectureship karna chahti thi. Aakir usko ye mil gaya aur uska naam bhi failne laga. Saalon baad jab vo ghar lauti toh Vibha aur uske bacchon ko bhi waha dekha. Pata laga ki uski nanad ke apne pati se alag hokar waha rehne ki wajah se uske sasuraal mein tanaav pareshaaniyaan aur paison ki killat shuru ho gayi thi, isliye vo yaha thi. Tab Mansi usse lekar uske sasural pahunchi aur uski nanad Sheela se baat karne par jana ki vo bhi sahitya mein ruchi rakhti thi. Phir vo Sheela ko apne saath Bangaluru le gayi aur usse sahitya gatividhiyon mein sammilit hone ko protsahith kiya. Isse Vibha ke sasuraal mein bhi shanti hui aur Sheela ko bhhi zindagi mein kuch karne ka zariya mil gaya aur uski zindagi sanwar gayi.
    Show more Show less
    30 mins
  • क्यों आंसुओं का कोई मोल नहीं
    Oct 6 2022
    Maria ke pati ki death kam umar mein ho gayi thi aur usne apni dono betiyon Margaret aur Angel ko bohot pyaar se pala. Margaret padhne ke liye 3 saal ke liye america chali gayi thi aur jab vo lauti tab uska chehra murjhaya hua tha. Usne kuch na bataya. Doctor ka bhi yahi kehena tha ki lambe samay se tanaav mein rehene se vo bimaar pad gayi hai. Margaret ki dost Imli ne Maria ke puchne par kaha ki vo america aaye tab hi saari kahaniyaan bataegi. Bina der kiye vo Margaret ko hospital mein bharti karke fauran america chali gayi aur waha Imli se jana ki Ruth naam ke ladke ne Margaret ke saath bohot bura salook kiya. Margaret badi tez thi aur Ruth usse pasand karta tha magar usne abhi Ruth ko bhaav nahi diya. Iss beech vo student election bhi jeet gayi. Iske baad uski jeet ki khushi mein Ruth ne party di aur uski sharab mein kuch aisa mila diya jisse vo behosh ho gayi. Ruth ne usse ek kamre mein band kar teen saptah nanga rakha. Vo usse sextoy ki tarah use karta raha aur usse nochta khasothta raha. Yeh sab sunkar Maria ka dil rone laga par usne himmat rakhi. Ant mein saboot ikkatha kar Ruth ko aajeevan karavaas ki saza dilaai aur Margaret ka ilaaj karati rahi.
    Show more Show less
    35 mins
  • लड़की
    Oct 6 2022
    Ahilya ko do beton ke baad ek beti Veena mili jisse vo bohot pyaar karti thi magar uske ghar mein wahi purani soch thi ki ladkiyaan toh dusre ghar ki hoti hai. Uske thode bade hone par uski shaadi ki baat hone lagi par vo padhna chahti thi. Kuch saal baad jab vo kisi ladke se pyaar karti aur usse shaadi karna chahti thi toh uske ghar walon ne mana kar diya aur usse padhai ke bahane videsh bhej diya. Vo 8 saal baad kaafi badli aur gambhir lauti. Uski pehele si khoobsurati na rehene par uski shaadi ek talakshuda Bhaskar se karni padi. Un dono ki kabhi nahi bani aur vo uske saath khush nahi thi. Vo baar baar maa se talak ki baat karti magar maa himmat nahi juta paayi yeh soch ke ki samaaj kya kahega aur vo usse akele kaise paalegi kyuki iss beech uske pita ki maut ho chuki thi. Ek din Veena ki neend ki goliyaan khakar aatmahatya karne ki koshish ki khabar aayi. Usko besudh halat mein dekhkar Ahilya dil mein bas apni beti ke theek hone aur usse uski khushiyaan lautana chahti thi. Vo bhaskar jaise darinde se usse hamesha chutkara dila degi.
    Show more Show less
    28 mins

What listeners say about Romance and Relationship Stories by Delhi Press, Season 17

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.