Preview

Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.

Yuvaaon ke Liye Chanakya

By: Dr. Radhakrishnan Pillai
Narrated by: Babla Kochhar
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • ‘Yuvaaon ke liye Chanakya’ Audible Suno ke liye likhi gayi 11 episode ki series hai, jise Dr. Radhakrishnan Pillai ne likha hai. Is series ko aawaaz di hai Babla Kocchar ne.

    Chanakya zarur 2,400 saal pahle ke chintak, darshnik aur vidvaan rahe, lekin unke vichaar aaj bhi utne hi praasangik hain. Ye series aaj ki peedhi ko safaltaa ke raaz bataati hai. Ye tay hai ki sadiyon puraane ye vichaar aapki soch ko badal daalenge.

    Dr. Pillai, Chanakya Institute for Public Leadership ke Director hain, aur unhein Chanakya Pillai ke naam se bhi jaana jaata hai. Dr Pillai praacheen gyaan aur maargdarshan ke zariye bhavishya ke leader taiyyar karne mein yakeen karte hain.

    Yuvaaon ki aankhon mein sapne hote hain, lekin unhein pankhon ki zarurat hoti hai. Unmein leadership qualities hoti hain, lekin unhein a coach - ek maargdarshak chahiye hota hai. Aur Chanakya ki seekh theek yahi karti rahi hai! Vishwa ke mahaantam guruon mein se ek, Chanakya kingmaker, leadership coach, aur behtareen ran-neetikar the. Ek aisa insaan, jisne apni buddhi ke dam shaktishaali rajaon ko haraaya aur yuvaaon ko satta mein lekar aaya. Kautilya ka ‘Arthashastra’ aur ‘Chanakya Neeti’ aaj bhi prerna deta hai. Chanakya ki is pracheen gyaan ko naye tareeke se bataati ye series unn sabhi logon ko zarur sunni chahiye jo jeevan mein safalta haasil karna chaahte hain.

    Disclaimer: Iss show mein vyakt ki gayi raye, show mein pradarshit hone waale vyaktiyon ki vyaktigat hain, na ki Audible ki. Iss show ka uddeyshya kisi bhi vyakti, sansthan, jaati, samuday ya dharm ko badnaam karne ya kisi sansthan ya vyakti, jeevit ya mrit ko badnaam karna nahin hai. Iss show mein swasthya sthithiyon ka varnan hai jo kuch shrotaaon ke liye kashtkaari ho sakta hai. Shrota ko vivek se faisla lene ki salaah di jaati hai.

    ©2020 Audible Singapore Private Limited (P)2020 Audible Studios
    Show more Show less
Episodes
  • Prastavna

    Prastavna

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Ek
    Sep 1 2020
    Ek baar ki baat hai, ek naujawaan apne haathon se apni jaan lena chaahta thaa. Zindagi se hataash, use jeevan mein na lakshya mil raha thha, na jeene ki koi wajah ussey dikhaayi de rahi tthi. Alag alag tarah ki padhaayi ke saath saath usne alag alag tarah ke career ke raaste chune, lekin kahin safalta nahin mili. Uski niji zindagi bhi bahut acchi nahin chal rahi tthi. Saccha pyaar nahin mila tha, aur parivaar ya doston se baat karne ka koi faayda ussey dikhaayi nahin deta thha. Usne professional madad aur self help kitaabon ka sahaara liya, lekin ussey bhi uski samasya poori tarah hal nahin ho paayi. Ek din poori tarah niraash hokar usne soch hi liya, “Is tarah jeene ka kya faayda? Accha hai ki main apni zindagi khatm kar loon!” Aur bas, yahi sochkar usne khudkushi ka faisla kar liya. Kya aap bhi is naujawaan ki uljhaanon se zindagi mein kabhi na kabhi guzar chuke hain? Kya aapko bhi kabhi laga hai ki is jeevan ka koi faayda nahin? Pareshaan hone ki zarurat nahin. Chanakya aapko aapki zindagi se mushkilon se baahar nikaalne ka raasta dikhaayenge.
    Show more Show less
    21 mins
  • Chanakya: Mission Par Nikla Ek Aadmi

    Chanakya: Mission Par Nikla Ek Aadmi

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Do
    Sep 1 2020
    Chanakya ne zindagi mein bahut mushkilein uthaayin. Chanakya ke pita Chanak Magadh Naresh Raja Dhananand ke darbaar mein Raj Neeti padhaaya karte thhe, aur Raja ne unka vadh karwa diya. Apne pita ki hatya ke baad Chanakya ko Patliputra se bhaagkar Takshashila jaana pada, jahaan unhon apni padhaayi poori ki. Jab Chanakya apni shikhsha poori karke waapas laute to naye utsaah aur sankalp se bhare huye thhe. Agle kuch saalon mein hi is yuva ne na sirf Magadh, balki sampurna Bharat ka itihaas badal daala. Aakhir ek shikshak ke bete ne itna sabkuch kaise kiya? Suniya aur jaaniye.
    Show more Show less
    45 mins
  • Jeevan Aur Career Ki Yojna

    Jeevan Aur Career Ki Yojna

    Yuvaaon ke Liye Chanakya, Adhyay Teen
    Sep 1 2020
    Chanakya sabse pahle ye bataate hain ki apne jeevan ke shuruaati saal kaise jiye jaayein. Insaan ke roop mein paida hona apne aap mein khaas hai. Jaisa ki kaha jaata hai, ‘Apne kaam ki yojna banaao, aur yojna par kaa karo’. Usi tarah hum bhi apni zindadi aur apne career ki yojna bana sakte hain. Is chapter mein jaaniye ki jeevan mein apne lakshya ko kaise samjha jaaye, aur kaise ussey haasil karne mein safalta haasil ki jaaye.
    Show more Show less
    41 mins

What listeners say about Yuvaaon ke Liye Chanakya

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.