Preview

Access a growing selection of included Audible Originals, audiobooks, and podcasts.
You will get an email reminder before your trial ends.
Audible Plus auto-renews for $7.95/mo after 30 days. Upgrade or cancel anytime.

Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar

By: Shameem Khan
Narrated by: Bharti Pallavi
Try for $0.00

$7.95 a month after 30 days. Cancel anytime.

  • Summary

  • Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar, sangreh hai unn kitabon ka jinhein sunn ke aap apni sehat ke prati ek majboot kadam badha sakte hain. Inn kitabon mein aapki daily life ko dhyan mein rakh kar, roz maraa ki dikkaton se saamna karne ki seekh di gayi hai. Iss sangreh mein aisi kitaabein bhi hai jo ki aapko poshtik aahar ka sevan karne a protsaahan deingi. Toh aaj hee suniye aur banayiyay apni sehat ko tip-top. Aao sunein kuch Sehat Ki Baatein aur kya hai aapke liye Poshtik Aahar.
    ©2014 Prabhat Prakashan (P)2020 Audible Studios
    Show more Show less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • Tyoharon Me Twacha Ko Kaise Nikharein

    Tyoharon Me Twacha Ko Kaise Nikharein

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Tyoharon ki season chal raha hai aur mausam bhi badal rahi hai. Aise mein twacha ko vishesh dekhbhal ki aavashyakta hai. Tyoharon ke samay har mahila sundar dikhna chahti hai aur aise mein rookhi, bejaan aur daag dhabbe-wali twacha sabse adhik pareshan karti hai. Aise mein mahilayein apne chehre ko chamkane ke liye beauty parlour ke chakkar lagati hai, mehange mehange cosmetics khareedti hai. Agar aap in sabse bachna chahti hai to kayi gharelu upay chamatkar kar sakte hai. Face mask, aloe vera mask, fruit mask, dahi ka mask, kheer ka face mask, kele ka mask, doodh aur shahad ka mask, face scrub, face massage, aadi iske tareeke hai. Santulit aur poshak bhojan karein, isse aapki twacha swasth aur chamkeeli rahegi. Taileey aur masaledar bhojan ka sevan na karein ya kam karein. Drinks aur caffeine ka sevan kam karein kyunki inka adhik matra mein sevan karne se muhaase aur twacha sambandhit anya samasyayein aa jaati hai. Finger chips, burger, pizza aur doosre junk food ke sevan se bachein. Isse aapki twacha dull ho jaati hai. Din mein kam-se-kam teen alag alag rangon ke phal khayein. Phal anti-oxidants se bharpoor hote hai aur twacha ko free radicals se bachate hai. Atyadhik matra mein doodh aur dugdh utpadon ka sevan na karein, isse muhason ki samasya ho sakti hai. Adhik matra mein mithaiyon aur chocolates ka sevan na karein, kyunki inse wazan bhi badhta hai aur twacha bhi dull ho jaati hai. Tyoharon ke samay agar taileey aur masaledar bhojan ke kaaran sabziyon ka intake kam ho jaaye to salad zaroor khayein. Kachchi sabziyan twacha ki chamak banaye rakhti hai.
    Show more Show less
    14 mins
  • Yoga

    Yoga

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Aaj ki tez raftar zindagi se taalmel baithane ke liye swasth aur oorja se bharpoor hona bahut zaroori hai, aur iske liye yog se behtar kya ho sakta hai. Yog se na keval sharirik roop se swasth rehne mein sahayta milti hai, balki maansik shanti bhi prapt hoti hai. Hum sharirik roop se sakriya na rahein to hamara sharir kada va thaka hua aur mastishk ashant ho jayega. Agar aapne jeevan mein kabhi yog na kiya ho to aaj se hi prarambh kar dein, kyonki achchhe karya jab bhi prarambh kiye jaayein unse laabh hi hota hai. Yog ke baare mein jankari dene ke liye hum aapko kuchh paramparik aur kuchh aadhunik yog vidhiyon ke baare mein bata rahe hai. Tanav aur avsad adhunik jeevanshaili ki den hai. Isse rakt mein stress hormone ka strav badhta hai aur rog pratirodh kshamta ghat-ti hai, jisse vyakti asaani se rogon ki chapet mein aa jaata hai. Yog nidra vyakti ki mansik kshamta ko badhati hai aur use rogmukt rakhti hai. Jinhe migraine hai, agar vah niyamit roop se yog nidra karein to migraine ke daure se bacha ja sakta hai. Vastav mein yah jaagte hue gehri neend lene ki prakriya hai aur yah gehri neend ke barabar hi tazgi, shanti aur oorja deti hai. Metro sheharon mein yog tezi se logon ke jeevan mein shamil hota ja raha hai aur ismein sabse naya trend hai hat yog. Aajkal khud ko fit rakhne ke liye hat yog logon ki pehli pasand banti ja rahi hai. Hamari sanskriti mein yog ko fitness ka sabse saral mantra bataya gaya hai. Ab isme naye naye concept jude jaa rahe hai. Hat yog vastav mein yog ka hi ek naya roop hai. Yog ke abhyas se sabhi dard se aaram milta hai.
    Show more Show less
    16 mins
  • Apne Nakhoonon ki Dekhbhaal Kaise Kare

    Apne Nakhoonon ki Dekhbhaal Kaise Kare

    Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar
    Aug 7 2020
    Hamare nakhun keratin naamak protein se bane hote hai. Swasth nakhun chikne aur chamakdar hote hai. Unka rang ek samaan hota hai, kahin koi daag-dhabba nahi hota hai. Har koi chahta hai ki uske nakhun swasth aur chamakdar ho, lekin nakhunon ko sundar rakhne ke liye sirf upari dekhbhal aur saaf safai hi zaroori nahi hai, balki paushtik khadya padarthon ka sevan bhi zaroori hai. Nakhunon ko swasth rakhne ke liye achchhe poshan ki aavashyakta hoti hai. Poshak bhojan ke sevan se nakhunon ka vikas bhi hota hai aur wo shaktishali bhi bante hai. Aise bhojan, jisme calcium, zinc, iron aur vitamin A, B, C, aur D ki matra adhik hoti hai, yah nakhunon ko poshan pradan karte hai. Zinc ki kami ho jaane se nakhunon par safed dhabbe ho jaate hai. Root vegetables, sabut anaaj, mans aur machhli zinc ke achchhe strot hai. Calcium prapt karne ke liye doodh, dugdh utpadon, hari pattedar sabziyon, kele, bread, tofu aadi ka sevan karein. Swasth nakhunon ke liye iron aur protein yukt khadya padarthon, hari pattedar sabziyon, anaar, doodh, ande aur mansahari khadya padarthon ko bhi apne diet chart mein sthaan dein. Protein ki kami se nakhun kamzor hokar toot sakte hai. Vitamin B jaise biotin koshikaon ke badhne mein madad karte hai. Biotin ki kami hone se nakhun asani se toot-te hai. Yah vitamin daal, doodh aur dugdh utpadon mein paaya jaata hai. Jab nakhunon ki niyamit roop mein dekhbhal ki jaati hai, tabhi wo sundar aur akarshak dikhte hai. Nakhun sundar dikhne ke liye saptah mein kam-se-kam do din hand massage bhi karni chahiye.
    Show more Show less
    14 mins

What listeners say about Sehat Ki Baatein aur Poshtik Aahar

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.