Healthy Zindagi

By: Health Shots - HT Smartcast
  • Summary

  • “Pehla sukh Nirogi Kaya” Ye apne bahut bar suna hoga. 'WHO' kehta hai ki healthy hona sirf disease ki absence nahi hai. Overall health ka meaning hai apka Mentally, Physically and emotionally better feel karna. Issme aap ki help karne ke liye Health Shots la raha "Healthy Zindagi Podcast season 2". Iske har episode me hum har baar ek Health Expert se baat karenge. Jo life ko unhealthy banane wale karno, Disease ke symptoms aur unke treatment ke bare me batayenge. Apni Health ki weekly dose ke liye tune in now!
    HTSmartcast
    Show more Show less
activate_Holiday_promo_in_buybox_DT_T2
Episodes
  • How to avoid Heat stroke and gut issues in Summer season
    Jun 14 2024
    Summer season bahut sare health issues ko trigger kar sakta hai. Isme bacteria ki growth bahut jaldi hoti hai, Jis se digestive issues ka samna karna pasta hai. Wahin hot weather heat exhaustion aur heat stroke ka bhi karan ban jata hai. In sabhi samasyao se bachne ke liye tune in kijiye healthy zindagi podcast ka latest episode, Jahan Nutritionist and Dietician Simrat Kathuria de rahi hain summer season me healthy rahne ke diet tips. Episode ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
    Show more Show less
    32 mins
  • Know how queer can overcome mental health issues
    May 31 2024
    Social taboos aur families ki purani conditioning ke karan LGBTQIA+ community ke logo ko lagatar identity, existence, self-respect, relationship aur pyar ke liye struggle karna padta hai. Jiski wajah se bahut sare log mental health issues ke shikar hone lagte hain. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me queer community representative aur senior psychologist Richa Vashista bata rahi hain mental health issues se kaise overcome hona hai.
    Show more Show less
    33 mins
  • Understand how thyroid affects your Period and fertility
    May 24 2024
    Thyroid hormone ka sahi star body function ke liye zaruri hai. Magar iska kam ya zyada hona apki sehat ko nuksan pahucha sakta hai. Khastaur se mahilao ko. International Thyroid Day par janiye kyu imbalance hone lagta hai thyroid, iska kya hota hai sehat par asar aur ye apke period and fertility ko kaise affect karta hai. Healthy Zindagi podcast ke iss episode me hamare sath hain fertility expert Dr Rashmika Gandhi. episode ko host kar rahi hain Yogita Yadav.
    Show more Show less
    24 mins

What listeners say about Healthy Zindagi

Average customer ratings

Reviews - Please select the tabs below to change the source of reviews.